Sunday 27 September 2015

CA STUDENT KI KAHANI MERI JUBANI...

CA STUDENT KI KAHANI MERI JUBANI...

.
.
CPT
CPT me josh ke maare,
Ho jaate hai anjane me ICAI ke hawale,
Har kisi ke Dil me hota hai maths ka dar,
Samajh nhi aata kaise Bach jaye negative marking se kal,
6 mahine gujar jaate hai,
Exam pas aate hai, 25 no. Ka dar sath le aate hai,

Har Dil me hoti hai topper banne ki hasrat,
Kitabon se milti hai exam ke baad fursat,
Half half no. Ke liye marte hai sab,
Fhir par karte hai 100 no. Ki sarhad !!

IPCC
CPT me pass Hone ka humko hota hai abhiman,
Failures ho jate hai sawdhan,
Friends bikhar jaate hai kai kai groups me,
Har koi nazar aata hai naye naye looks me,
9 mahine tak coaching ke chakkar lagate hai,
40 no. Ke dar se roj padhne baith jate hai,
Phir exam aate hai, kuch 350 no. Se pass ho jate hai,
Successfull hone ke baad pass hone ka gyan sunate hai,
Ijjat itani milti hai ke sir garv se uthate hai,
Articleship ke naam se hosh thikhane aate hai !!

ARTICLESHIP
Aree.. yaar ye 3 saal ki Aafat kahan se aa gai,
Chalo ab professional banane ki baari aa gai,
Articleship me Dil nahi lagta har kisi ka,
Har koi dhundhta hai moka propose karne ka,
Raat bhar hum phone talks me bitate hai,
Subha har roj office ko nikal jate hai,
Har kisi ko yahi lagta hai humko pyar ho gya hai,
Uff... ab to jeena bhi dhushwar ho gya hai,
Coaching se client tak chakkar lagate hai,
Office jakar boss ki daant khate hai,
Mahine me 25 din kaam karwate hai,
Pocket me 1000 rs. Lekar ghar ko jate hai,
Uhi beet jata hai articleship ka safar,
Par isme bhi bahut kuch Sikh jate hai !!

FINAL
Ab final exams ki baari aati hai,
apni jimmedari ka ahasas dilati hai,
Kyuki 6 mahine bad degree ki tension satati hai,
Par jab Bhi kambaqt padhne ko baithte hai,
To ek baar uski yaad jarur satati hai,
Naye naye sections, formula Sikh jate hai,
Koi firm to koi job karne ka khawab sajate hai,
Audit or Isca me marks kaise laaye ye samajh nahi aata hai,
May or November attempt isi me nikal jata hai,
Har koi chehra tension me najar aata hai,
Kyuki final's attempt pe attempt lagwata hai,
Dil aage ki soch kr ghabrata hai,
ICAI ka result bhahuto ko rulata hai,
Ek safar ke bad intzaar khatam ho jata hai,
Pass hone ka din bhi aata hai,
khushi ke maare aankhe num ho jati hai...
Phir ek or nya 'SAFAR' shuru ho jata hai......
!! ICAI STUDENTS ALWAYS ROCKS !!
.
Credit: Astha Bansal
.
If You also want your Articles to be Posted on Our Blog, Then Write us at cagroups4all@gmail.com. We will Post it with your Name in our Blog

No comments:

Post a Comment